1Yih Allāh ke Farzand Īsā Masīh ke bāre meṅ ḳhushḳhabrī hai, 2jo Yasāyāh Nabī kī peshgoī ke mutābiq yoṅ shurū huī:
‘Dekh, maiṅ apne paiġhambar ko tere āge āge bhej detā hūṅ
jo tere lie rāstā taiyār karegā.
3Registān meṅ ek āwāz pukār rahī hai,
Rab kī rāh taiyār karo!
Us ke rāste sīdhe banāo.’
4Yih paiġhambar Yahyā baptismā dene wālā thā. Registān meṅ rah kar us ne elān kiyā ki log taubā karke baptismā leṅ tāki unheṅ apne gunāhoṅ kī muāfī mil jāe.