مرقس کی انجیل کے بارے میں

مرقس کی انجیل یسوع ناصری کا سب سے قدیم تحریری ریکارڈ ہے، جسے 65 عیسوی کے آس پاس یسوع اور اس کے شاگرد پطرس کے قریبی ساتھی نے لکھا تھا۔ مرقس مقدس بائبل کا حصہ ہے - نئے عہد نامے کی دوسری کتاب ہے۔ اس کے 16 عمل سے بھرے ابواب یسوع کی منفرد شناخت، تعلیم اور کاموں کو ظاہر کرتے ہیں۔ انجیل کا مطلب ہے 'خوشخبر'، اور مرقس نے اس کتاب کو “یسوع مسیح کے بارے میں خوشخبری” کے طور پر بیان کیا ہے۔

انجیل کیا ہے؟

The Holy Bible teaches us that all people deserve shame and judgement for our sin. But the good news is that Jesus died on the cross and took the judgement we deserve. He rose from the dead on the third day to prove he has paid for the sin of everyone who trusts him. And when we trust Jesus as Lord and Saviour, God forgives us fully and forever. We experience a real and restored relationship with God that will never end.

پڑھنے کے لئے نکات

آپ اس کتاب کو باب اور آیت نمبروں کے لحاظ سے براؤز کرسکتے ہیں (باب کو تبدیل کرنے کے لئے صفحے کے نیچے والے لنکس دیکھیں) ۔ مثال کے طور پر، 'مرقس 8:29' سے مراد مرقس باب 8، آیت 29 ہے۔ چونکہ بائبل کسی اور جگہ سے ایک پرانی کتاب ہے، لہذا بہت سی چیزیں ہیں جو آپ کو پہلے سمجھنے میں مشکل ہوسکتی ہے۔ جب ایسا ہوتا ہے تو، خدا کی مدد کے لئے دعا کریں، اور یسوع کے تجربہ کار پیروکار کے ساتھ کتاب پڑھنے پر غور کریں۔ bibleref.com جیسے آن لائن تبصرے بھی آپ کی تعلیم حاصل کرتے وقت آپ کی مدد کرسکتے ہیں۔

Marqus

Marqus 16

  1. 1
  2. 2
  3. 3
  4. 4
  5. 5
  6. 6
  7. 7
  8. 8
  9. 9
  10. 10
  11. 11
  12. 12
  13. 13
  14. 14
  15. 15
  16. 16
1Hafte kī shām ko jab Sabat kā din guzar gayā to Mariyam Magdalīnī, Yāqūb kī māṅ Mariyam aur Salomī ne ḳhushbūdār masāle ḳharīd lie, kyoṅki wuh qabr ke pās jā kar unheṅ Īsā kī lāsh par lagānā chāhtī thīṅ. 2Chunāṅche wuh Itwār ko subah-sawere hī qabr par gaīṅ. Sūraj tulū ho rahā thā. 3Rāste meṅ wuh ek dūsre se pūchhne lagīṅ, “Kaun hamāre lie qabr ke muṅh se patthar ko luṛhkāegā?” 4Lekin jab wahāṅ pahuṅchīṅ aur nazar uṭhā kar qabr par ġhaur kiyā to dekhā ki patthar ko ek taraf luṛhkāyā jā chukā hai. Yih patthar bahut baṛā thā. 5Wuh qabr meṅ dāḳhil huīṅ. Wahāṅ ek jawān ādmī nazar āyā jo safed libās pahne hue dāīṅ taraf baiṭhā thā. Wuh ghabrā gaīṅ.
6Us ne kahā, “Mat ghabrāo. Tum Īsā Nāsarī ko ḍhūnḍ rahī ho jo maslūb huā thā. Wuh jī uṭhā hai, wuh yahāṅ nahīṅ hai. Us jagah ko ḳhud dekh lo jahāṅ use rakhā gayā thā. 7Ab jāo, us ke shāgirdoṅ aur Patras ko batā do ki wuh tumhāre āge āge Galīl pahuṅch jāegā. Wahīṅ tum use dekhoge, jis tarah us ne tum ko batāyā thā.”
8Ḳhawātīn laraztī aur uljhī huī hālat meṅ qabr se nikal kar bhāg gaīṅ. Unhoṅ ne kisī ko bhī kuchh na batāyā, kyoṅki wuh nihāyat sahmī huī thīṅ.
9Jab Īsā Itwār ko subah-sawere jī uṭhā to pahlā shaḳhs jis par wuh zāhir huā Mariyam Magdalīnī thī jis se us ne sāt badrūheṅ nikālī thīṅ. 10Mariyam Īsā ke sāthiyoṅ ke pās gaī jo mātam kar rahe aur ro rahe the. Us ne unheṅ jo kuchh huā thā batāyā. 11Lekin go unhoṅ ne sunā ki Īsā zindā hai aur ki Mariyam ne use dekhā hai to bhī unheṅ yaqīn na āyā.
12Is ke bād Īsā dūsrī sūrat meṅ un meṅ se do par zāhir huā jab wuh Yarūshalam se dehāt kī taraf paidal chal rahe the. 13Donoṅ ne wāpas jā kar yih bāt bāqī logoṅ ko batāī. Lekin unheṅ in kā bhī yaqīn na āyā.
14Āḳhir meṅ Īsā gyārah shāgirdoṅ par bhī zāhir huā. Us waqt wuh mez par baiṭhe khānā khā rahe the. Us ne unheṅ un kī be'etiqādī aur saḳhtdilī ke sabab se ḍānṭā, ki unhoṅ ne un kā yaqīn na kiyā jinhoṅ ne use zindā dekhā thā. 15Phir us ne un se kahā, “Pūrī duniyā meṅ jā kar tamām maḳhlūqāt ko Allāh kī ḳhushḳhabrī sunāo. 16Jo bhī īmān lā kar baptismā le use najāt milegī. Lekin jo īmān na lāe use mujrim qarār diyā jāegā. 17Aur jahāṅ jahāṅ log īmān rakheṅge wahāṅ yih ilāhī nishān zāhir hoṅge: Wuh mere nām se badrūheṅ nikāl deṅge, naī naī zabāneṅ boleṅge 18aur sāṅpoṅ ko uṭhā kar mahfūz raheṅge. Mohlak zahr pīne se unheṅ nuqsān nahīṅ pahuṅchegā aur jab wuh apne hāth marīzoṅ par rakheṅge to shafā pāeṅge.”
19Un se bāt karne ke bād Ḳhudāwand Īsā ko āsmān par uṭhā liyā gayā aur wuh Allāh ke dahne hāth baiṭh gayā. 20Is par shāgirdoṅ ne nikal kar har jagah munādī kī. Aur Ḳhudāwand ne un kī himāyat karke ilāhī nishānoṅ se kalām kī tasdīq kī.

اب آپ کہاں جانا چاہیں گے؟