1Ek din Farīsī aur sharīat ke kuchh ālim Yarūshalam se Īsā se milne āe. 2Jab wuh wahāṅ the to unhoṅ ne dekhā ki us ke kuchh shāgird apne hāth pāk-sāf kie baġhair yānī dhoe baġhair khānā khā rahe haiṅ.
3(Kyoṅki Yahūdī aur ḳhāskar Farīsī firqe ke log is muāmale meṅ apne bāpdādā kī riwāyat ko mānte haiṅ. Wuh apne hāth achchhī tarah dhoe baġhair khānā nahīṅ khāte. 4Isī tarah jab wuh kabhī bāzār se āte haiṅ to wuh ġhusl karke hī khānā khāte haiṅ. Wuh bahut-sī aur riwāyatoṅ par bhī amal karte haiṅ, masalan kap, jag aur ketlī ko dho kar pāk-sāf karne kī rasm par.)